Friday, January 31, 2020

baahiya kon ka yog kitna hota hai?

Tribhuz mei 3 antah kon hote hai aur waise hi 3 bahya kon hote hai.

Jaisa ki ham jante hai tribhuz ke har antah kon ke saath ek bahya kon hota hai

Mana a, b, c tribhuz ke antah kon hai

Aur A, B, C tribhuz ke bahya kon hai

A+a=180°
B+b=180°
C+c=180°

Sabhi ka yog krne par

 A+B+C+a+b+c=540° -----(1)

Aur tribhuz ke tino kon ka yog 180°.

a+b+c=180°--------(2)

Samikaran 2 Ko 1 se ghatane par

A+B+C=540°-180°=360°

Iss liye tribhuz ke bahya kon ka yog 360° hota hai.


No comments:

Post a Comment